Thursday, January 25, 2007

Bhram

Jo hamein dikhe hota woh nahi,Jo nahi dikhe hota woh sahi,
Kya tum ho aur kya hum hain,yeh sab to maatr bhram hai.

sab karm katne aate , kis pher mein par pad jaate hain,
Main Main Too Too ki boli hai,Chahun oar khoon ki holi hai.

jan hi jan ka ab dushman hai, kya yahi hamara jeevan hai?
kyon prem daya hai aaj nahi , koi manavta ka kaaj nahi.

Sab moh maya mein phase hue, dukh ki zanzeer mein kase hue ,
yah mera hai vah tera hai ,sab oar ghana andhera hai.

kya koi aisa hai sansaar , jahan base bas pyar hi pyar,
gar mile to mujhko bhi batlana , Na ho to mujhe sang le jana.

No comments: